Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har gam badalte rahe manzar mere aage

Kashif Husain Ghair

har gam badalte rahe manzar mere aage

Kashif Husain Ghair

har gaam badalte rahe manzar mire aage

chaltā rahā koī barābar mire aage

kyā ḳhaak mirī ḳhaak meñ imkān ho paidā

nāpaid haiñ maujūd-o-mayassar mire aage

yuuñ dekhne vāloñ ko nazar aatā huuñ pīchhe

rahtā hai masāfat meñ mirā ghar mire aage

rakhtī hai ajab paas mirī tishna-labī

so mauj uThātī nahīñ sar mire aage

hañstā rahā maiñ dar-o-dīvār pe apne

rotā rahā merā muqaddar mire aage

kal raat jagātī rahī ik ḳhvāb duurī

aur niiñd bichhātī rahī bistar mire aage

vāqif nahīñ koī in āñkhoñ ravish se

kam kam jo khulā kartī haiñ aksar mire aage

dekhe nahīñ maiñ ne kabhī aañkh meñ aañsū

pahnā nahīñ us ne ye zevar mire aage

'ġhā.er' maiñ ka.ī roz se ḳhāmosh huuñ aisā

goyā nazar aate haiñ ye patthar mire aage

har gam badalte rahe manzar mere aage

chalta hi raha koi barabar mere aage

kya KHak meri KHak mein imkan ho paida

napaid hain maujud-o-mayassar mere aage

yun dekhne walon ko nazar aata hun pichhe

rahta hai masafat mein mera ghar mere aage

rakhti hai ajab pas meri tishna-labi ka

so mauj uThati hi nahin sar mere aage

hansta hi raha main dar-o-diwar pe apne

rota hi raha mera muqaddar mere aage

kal raat jagati rahi ek KHwab ki duri

aur nind bichhati rahi bistar mere aage

waqif hi nahin koi in aankhon ki rawish se

kam kam jo khula karti hain aksar mere aage

dekhe hi nahin main ne kabhi aankh mein aansu

pahna hi nahin us ne ye zewar mere aage

'ghaer' main kai roz se KHamosh hun aisa

goya nazar aate hain ye patthar mere aage

Source :
  • Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 67)
  • Author : Kashif Husain Ghair
  • Publication : Rekhta Publications (2018)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now