Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamare KHun ke pyase pashemani se mar jaen

Afzal Khan

hamare KHun ke pyase pashemani se mar jaen

Afzal Khan

hamāre ḳhuun ke pyāse pashemānī se mar jaa.eñ

agar ham ek din apnī nādānī se mar jaa.eñ

aziyyat se janam letī suhulat raas aatī hai

koī aisī paḌe mushkil ki āsānī se mar jaa.eñ

adhūrī nazar kaafī hai us ā.īna-dārī par

agar ham ġhaur se dekheñ to hairānī se mar jaa.eñ

banā rakkhī haiñ dīvāroñ pe tasvīreñ parindoñ

vagarna ham to apne ghar vīrānī se mar jaa.eñ

agar vahshat ye aalam rahā to ain-mumkin hai

sukūñ se jiite jiite bhī pareshānī se mar jaa.eñ

kahīñ aisā na ho yārab ki ye tarse hue aabid

tirī jannat meñ ashyā farāvānī se mar jaa.eñ

hamare KHun ke pyase pashemani se mar jaen

agar hum ek din apni hi nadani se mar jaen

aziyyat se janam leti suhulat ras aati hai

koi aisi paDe mushkil ki aasani se mar jaen

adhuri si nazar kafi hai us aaina-dari par

agar hum ghaur se dekhen to hairani se mar jaen

bana rakkhi hain diwaron pe taswiren parindon ki

wagarna hum to apne ghar ki virani se mar jaen

agar wahshat ka ye aalam raha to ain-mumkin hai

sukun se jite jite bhi pareshani se mar jaen

kahin aisa na ho yarab ki ye tarse hue aabid

teri jannat mein ashya ki farawani se mar jaen

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now