Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum karen baat dalilon se to rad hoti hai

Muzaffar Warsi

hum karen baat dalilon se to rad hoti hai

Muzaffar Warsi

ham kareñ baat dalīloñ se to rad hotī hai

us ke hoñToñ ḳhamoshī bhī sanad hotī hai

saañs lete hue insāñ bhī haiñ lāshoñ tarah

ab dhaḌakte hue dil bhī lahad hotī hai

jis gardan meñ hai phandā vahī insān baḌā

sūliyoñ se yahāñ paimā.ish-e-qad hotī hai

sho.abda-gar bhī pahante haiñ ḳhatīboñ libās

boltā jahl hai bad-nām ḳhirad hotī hai

kuchh na kahne se bhī chhin jaatā hai ejāz-e-suḳhan

zulm sahne se bhī zālim madad hotī hai

hum karen baat dalilon se to rad hoti hai

us ke honTon ki KHamoshi bhi sanad hoti hai

sans lete hue insan bhi hain lashon ki tarah

ab dhaDakte hue dil ki bhi lahad hoti hai

jis ki gardan mein hai phanda wahi insan baDa

suliyon se yahan paimaish-e-qad hoti hai

shoabda-gar bhi pahante hain KHatibon ka libas

bolta jahl hai bad-nam KHirad hoti hai

kuchh na kahne se bhi chhin jata hai ejaz-e-suKHan

zulm sahne se bhi zalim ki madad hoti hai

Source :
  • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 218)
  • Author : Farooq Argali
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
  • Edition : 2004

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now