hum bhi hain tere husn ke hairan idhar dekh
ham bhī haiñ tire husn ke hairān idhar dekh
kyā ā.īna dekhe hai mirī jaan idhar dekh
āñkheñ na churā mujh se mirī jaan idhar dekh
ai maiñ tirī is chashm ke qurbān idhar dekh
tarsūñ huuñ tirī yak-nigah-e-lutf ko pyāre
itnā bhī to mujh ko na kaḌā maan idhar dekh
āshiq to hazāroñ hī ġharaz guzre haiñ lekin
yuuñ chaak huā kis kā garebān idhar dekh
āñkheñ na churā 'mus.hafī'-e-reḳhta-go se
ik umr se terā hai sanā-ḳhvān idhar dekh
hum bhi hain tere husn ke hairan idhar dekh
kya aaina dekhe hai meri jaan idhar dekh
aankhen na chura mujh se meri jaan idhar dekh
ai main teri is chashm ke qurban idhar dekh
tarsun hun teri yak-nigah-e-lutf ko pyare
itna bhi to mujh ko na kaDa man idhar dekh
aashiq to hazaron hi gharaz guzre hain lekin
yun chaak hua kis ka gareban idhar dekh
aankhen na chura 'mushafi'-e-reKHta-go se
ek umr se tera hai sana-KHwan idhar dekh
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 313)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.