Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum apni pusht par khuli bahaar le ke chal diye

Yaqoob Yawar

hum apni pusht par khuli bahaar le ke chal diye

Yaqoob Yawar

ham apnī pusht par khulī bahār le ke chal diye

safar meñ the safar e'tibār le ke chal diye

saḌak saḌak mahak rahe the gul-badan saje hue

thake badan ik ik gale haar le ke chal diye

jibillatoñ ḳhuun khaulne lagā zamīn par

to ahd-e-irtiqā ḳhalā ke paar le ke chal diye

pahāḌ jaisī azmatoñ dāḳhila thā shahr meñ

ki log āgahī ishtihār le ke chal diye

jarāhateñ milīñ hameñ bhī inkisār ke evaz

jhukā ke sar sadāqatoñ haar le ke chal diye

hum apni pusht par khuli bahaar le ke chal diye

safar mein the safar ka e'tibar le ke chal diye

saDak saDak mahak rahe the gul-badan saje hue

thake badan ek ek gale ka haar le ke chal diye

jibillaton ka KHun khaulne laga zamin par

to ahd-e-irtiqa KHala ke par le ke chal diye

pahaD jaisi azmaton ka daKHila tha shahr mein

ki log aagahi ka ishtihaar le ke chal diye

jarahaten milin hamein bhi inkisar ke ewaz

jhuka ke sar sadaqaton ki haar le ke chal diye

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now