Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ahl-e-arzu pe ajab waqt aa paDa

Habeeb Hyderabadi

hum ahl-e-arzu pe ajab waqt aa paDa

Habeeb Hyderabadi

ham ahl-e-ārzū pe ajab vaqt aa paḌā

har har qadam pe khel nayā khelnā paḌā

apnā shahr ham ko baḌā ajnabī lagā

apne ghar ham ko pata pūchhnā paḌā

insān bulandī o pastī ko dekh kar

insāñ kahāñ khaḌā hai hameñ sochnā paḌā

maanā ki hai farār magar dil ko kyā kareñ

maazī yaad meñ hameñ Dūbnā paḌā

majbūriyāñ hayāt jab had se baḌh ga.iiñ

har aarzū ko pāñv-tale roñdnā paḌā

aage nikal ga.e the zarā apne-āp se

ham ko 'habīb' ḳhud taraf lauTnā paḌā

hum ahl-e-arzu pe ajab waqt aa paDa

har har qadam pe khel naya khelna paDa

apna hi shahr hum ko baDa ajnabi laga

apne hi ghar ka hum ko pata puchhna paDa

insan ki bulandi o pasti ko dekh kar

insan kahan khaDa hai hamein sochna paDa

mana ki hai farar magar dil ko kya karen

mazi ki yaad hi mein hamein Dubna paDa

majburiyan hayat ki jab had se baDh gain

har aarzu ko panw-tale rondna paDa

aage nikal gae the zara apne-ap se

hum ko 'habib' KHud ki taraf lauTna paDa

Source :
  • Book : Shora-e-London (Pg. 74)
  • Author : Johar Zahiri
  • Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
  • Edition : 1985
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now