hai nind abhi aankh mein pal bhar mein nahin hai
hai niiñd abhī aañkh meñ pal bhar meñ nahīñ hai
karvaT koī ārām kī bistar meñ nahīñ hai
sāhil pe jalā de jo palaTne kā vasīla
ab aisā jiyālā mire lashkar meñ nahīñ hai
phailāv huā hai mire idrāk se paidā
vus.at mire andar hai samundar meñ nahīñ hai
sīkhā na duāoñ meñ qanā.at kā salīqa
vo maañg rahā huuñ jo muqaddar meñ nahīñ hai
rakh us pe nazar jo kahīñ zāhir meñ hai pinhāñ
vo bhī to kabhī dekh jo manzar meñ nahīñ hai
yuuñ dhuup ne ab zāviya badlā hai ki 'āsim'
saaya bhī mirā mere barābar meñ nahīñ hai
hai nind abhi aankh mein pal bhar mein nahin hai
karwaT koi aaram ki bistar mein nahin hai
sahil pe jala de jo palaTne ka wasila
ab aisa jiyala mere lashkar mein nahin hai
phailaw hua hai mere idrak se paida
wusat mere andar hai samundar mein nahin hai
sikha na duaon mein qanaat ka saliqa
wo mang raha hun jo muqaddar mein nahin hai
rakh us pe nazar jo kahin zahir mein hai pinhan
wo bhi to kabhi dekh jo manzar mein nahin hai
yun dhup ne ab zawiya badla hai ki 'asim'
saya bhi mera mere barabar mein nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.