Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai ajab haal ye zamane ka

Jaun Eliya

hai ajab haal ye zamane ka

Jaun Eliya

hai ajab haal ye zamāne

yaad bhī taur hai bhulāne

pasand aayā bahut hameñ pesha

ḳhud apne gharoñ ko Dhāne

kaash ham ko bhī ho nasīb kabhī

aish-e-daftar meñ gungunāne

āsmāñ hai ḳhamoshī-e-jāved

maiñ bhī ab lab nahīñ hilāne

jaan kyā ab tirā piyāla-e-nāf

nashsha mujh ko nahīñ pilāne

shauq hai is dil-e-darinda ko

aap ke hoñT kaaT khāne

itnā nādim huā huuñ ḳhud se ki maiñ

ab nahīñ ḳhud ko āzmāne

kyā kahūñ jaan ko bachāne maiñ

'jaun' ḳhatra hai jaan jaane

ye jahāñ 'jaun' ik jahannum hai

yaañ ḳhudā bhī nahīñ hai aane

zindagī ek fan hai lamhoñ ko

apne andāz se gañvāne

hai ajab haal ye zamane ka

yaad bhi taur hai bhulane ka

pasand aaya bahut hamein pesha

KHud hi apne gharon ko Dhane ka

kash hum ko bhi ho nasib kabhi

aish-e-daftar mein gungunane ka

aasman hai KHamoshi-e-jawed

main bhi ab lab nahin hilane ka

jaan kya ab tera piyala-e-naf

nashsha mujh ko nahin pilane ka

shauq hai is dil-e-darinda ko

aap ke honT kaT khane ka

itna nadim hua hun KHud se ki main

ab nahin KHud ko aazmane ka

kya kahun jaan ko bachane main

'jaun' KHatra hai jaan jaane ka

ye jahan 'jaun' ek jahannum hai

yan KHuda bhi nahin hai aane ka

zindagi ek fan hai lamhon ko

apne andaz se ganwane ka

Source :
  • Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 165)
  • Author : Jaun Elia
  • Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
  • Edition : 2012
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now