hath lahraata raha wo baiTh kar khiDki ke sath
haath lahrātā rahā vo baiTh kar khiḌkī ke saath
maiñ akelā duur tak bhāgā gayā gaaḌī ke saath
ho gayā hai ye makāñ ḳhālī sadāoñ se magar
zehn ab tak gūñjtā hai rail kī siiTī ke saath
muddateñ jis ko lagī thiiñ mere paas aate hue
ho gayā mujh se judā vo kis qadar tezī ke saath
koī bādal mere tapte jism par barsā nahīñ
jal rahā huuñ jaane kab se jism kī garmī ke saath
niind katrā ke guzar jaatī hai āñkhoñ se 'nasīm'
jāgtā rahtā huuñ ab maiñ shab kī vīrānī ke saath
hath lahraata raha wo baiTh kar khiDki ke sath
main akela dur tak bhaga gaya gaDi ke sath
ho gaya hai ye makan KHali sadaon se magar
zehn ab tak gunjta hai rail ki siTi ke sath
muddaten jis ko lagi thin mere pas aate hue
ho gaya mujh se juda wo kis qadar tezi ke sath
koi baadal mere tapte jism par barsa nahin
jal raha hun jaane kab se jism ki garmi ke sath
nind katra ke guzar jati hai aankhon se 'nasim'
jagta rahta hun ab main shab ki virani ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.