Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wahi taj hai wahi taKHt hai wahi zahr hai wahi jam hai

Bashir Badr

wahi taj hai wahi taKHt hai wahi zahr hai wahi jam hai

Bashir Badr

vahī taaj hai vahī taḳht hai vahī zahr hai vahī jaam hai

ye vahī ḳhudā zamīn hai ye vahī butoñ nizām hai

baḌe shauq se mirā ghar jalā koī aañch tujh pe na aa.egī

ye zabāñ kisī ne ḳharīd ye qalam kisī ġhulām hai

yahāñ ek bachche ke ḳhuun se jo likhā huā hai use paḌheñ

tirā kīrtan abhī paap hai abhī merā sajda harām hai

maiñ ye māntā huuñ mire diye tirī āñdhiyoñ ne bujhā diye

magar ek jugnū havāoñ meñ abhī raushnī imaam hai

mire fikr-o-fan tirī anjuman na uruuj thā na zavāl hai

mire lab pe terā naam thā mire lab pe terā naam hai

wahi taj hai wahi taKHt hai wahi zahr hai wahi jam hai

ye wahi KHuda ki zamin hai ye wahi buton ka nizam hai

baDe shauq se mera ghar jala koi aanch tujh pe na aaegi

ye zaban kisi ne KHarid li ye qalam kisi ka ghulam hai

yahan ek bachche ke KHun se jo likha hua hai use paDhen

tera kirtan abhi pap hai abhi mera sajda haram hai

main ye manta hun mere diye teri aandhiyon ne bujha diye

magar ek jugnu hawaon mein abhi raushni ka imam hai

mere fikr-o-fan teri anjuman na uruj tha na zawal hai

mere lab pe tera hi nam tha mere lab pe tera hi nam hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now