gulshan ko bahāroñ ne is tarah navāzā hai
har shāḳh ke kāñdhe par kaliyoñ kā janāza hai
kis tarah bhulā.eñ ham is shahr ke hañgāme
har dard abhī baaqī hai har zaḳhm abhī taaza hai
mastī bhī umīdeñ bhī hasrat bhī udāsī bhī
mujh ko tirī āñkhoñ ne har tarah navāzā hai
miTTī kī tarah ik din uḌ jā.egā rāhoñ se
sab shor machāte haiñ jab tak lahū taazā hai
ye raakh makānoñ kī zaayā na karo 'sāġhar'
ye ahl-e-siyāsat ke ruḳhsār kā ġhāza hai
gulshan ko bahaaron ne is tarah nawaza hai
har shaKH ke kandhe par kaliyon ka janaza hai
kis tarah bhulaen hum is shahr ke hangame
har dard abhi baqi hai har zaKHm abhi taza hai
masti bhi umiden bhi hasrat bhi udasi bhi
mujh ko teri aankhon ne har tarah nawaza hai
miTTi ki tarah ek din uD jaega rahon se
sab shor machate hain jab tak lahu taza hai
ye rakh makanon ki zaya na karo 'saghar'
ye ahl-e-siyasat ke ruKHsar ka ghaza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.