Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghubar-e-tang-zehni surat-e-KHanjar nikalta hai

Fasih Akmal

ghubar-e-tang-zehni surat-e-KHanjar nikalta hai

Fasih Akmal

ġhubār-e-tañg-zehnī sūrat-e-ḳhanjar nikaltā hai

hamārī bastiyoñ se roz ik lashkar nikaltā hai

ḳhudā jaane kahāñ us rifāqat ho ga.ī zaḳhmī

ki shab meñ ik parinda chīḳhtā aksar nikaltā hai

matā-e-chashm-e-hairāñ ke sivā ab kuchh nahīñ baaqī

dil-e-ātish-girafta yahī jauhar nikaltā hai

lahū kar zamīñ jab bhī na.ī karvaT badaltī hai

kisī sar nikaltā hai kisī ghar nikaltā hai

hamārī fat.h ke andāz duniyā se nirāle haiñ

ki parcham jagah neze pe apnā sar nikaltā hai

hamāre shahr meñ kam-qāmatoñ bhiiḌ aisī hai

usī qatl ho jaatā hai jis sar nikaltā hai

nazar vāloñ se mat pūchho had-e-imkāñ kahāñ tak hai

kahīñ sūraj nikaltā hai kahīñ manzar nikaltā hai

agar jiine ḳhvāhish hai jabīñ sañg-āshnā rakhnā

ki har muḳhlis muTThī meñ yahāñ ḳhanjar nikaltā hai

ghubar-e-tang-zehni surat-e-KHanjar nikalta hai

hamari bastiyon se roz ek lashkar nikalta hai

KHuda jaane kahan us ki rifaqat ho gai zaKHmi

ki shab mein ek parinda chiKHta aksar nikalta hai

mata-e-chashm-e-hairan ke siwa ab kuchh nahin baqi

dil-e-atish-girafta ka yahi jauhar nikalta hai

lahu pi kar zamin jab bhi nai karwaT badalti hai

kisi ka sar nikalta hai kisi ka ghar nikalta hai

hamari fath ke andaz duniya se nirale hain

ki parcham ki jagah neze pe apna sar nikalta hai

hamare shahr mein kam-qamaton ki bhiD aisi hai

usi ka qatl ho jata hai jis ka sar nikalta hai

nazar walon se mat puchho had-e-imkan kahan tak hai

kahin suraj nikalta hai kahin manzar nikalta hai

agar jine ki KHwahish hai jabin sang-ashna rakhna

ki har muKHlis ki muTThi mein yahan KHanjar nikalta hai

RECITATIONS

Fasih Akmal

Fasih Akmal,

00:00/00:00
Fasih Akmal

ghubar-e-tang-zehni surat-e-KHanjar nikalta hai Fasih Akmal

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now