duniya bani to hamd-o-sana ban gai ghazal
duniyā banī to hamd-o-sanā ban ga.ī ġhazal
utrā jo nuur nūr-e-ḳhudā ban ga.ī ġhazal
gūñjā jo nād-e-brahm banī raqs-e-mehr-o-māh
zarre jo thartharā.e sadā ban ga.ī ġhazal
chamkī kahīñ jo barq to ehsās ban ga.ī
chhā.ī kahīñ ghaTā to adā ban ga.ī ġhazal
āñdhī chalī to qahr ke sāñche meñ Dhal ga.ī
bād-e-sabā chalī to nasha ban ga.ī ġhazal
haivāñ bane to bhuuk banī bebasī banī
insāñ bane to jazb-e-vafā ban ga.ī ġhazal
uTThā jo dard-e-'ishq to ashkoñ meñ Dhal ga.ī
bechainiyāñ baḌhīñ to du'ā ban ga.ī ġhazal
jaagī havas to ban ke uThī sho’la-e-sharāb
TuuTā jo sabr laġhzish-e-pā ban ga.ī ġhazal
zāhid ne pī to jām-e-fanā ban ke rah ga.ī
rindoñ ne pī to jām-e-baqā ban ga.ī ġhazal
arz-e-dakan meñ jaan to dehlī meñ dil banī
aur shahr-e-lakhna.ū meñ hinā ban ga.ī ġhazal
dohe rubā'ī nazm sabhī 'tarz' the magar
asnāf-e-shā’irī kī ḳhudā ban ga.ī ġhazal
duniya bani to hamd-o-sana ban gai ghazal
utra jo nur nur-e-KHuda ban gai ghazal
gunja jo nad-e-brahm bani raqs-e-mehr-o-mah
zarre jo thartharae sada ban gai ghazal
chamki kahin jo barq to ehsas ban gai
chhai kahin ghaTa to ada ban gai ghazal
aandhi chali to qahr ke sanche mein Dhal gai
baad-e-saba chali to nasha ban gai ghazal
haiwan bane to bhuk bani bebasi bani
insan bane to jazb-e-wafa ban gai ghazal
uTTha jo dard-e-'ishq to ashkon mein Dhal gai
bechainiyan baDhin to du'a ban gai ghazal
jagi hawas to ban ke uThi sho’la-e-sharab
TuTa jo sabr laghzish-e-pa ban gai ghazal
zahid ne pi to jam-e-fana ban ke rah gai
rindon ne pi to jam-e-baqa ban gai ghazal
arz-e-dakan mein jaan to dehli mein dil bani
aur shahr-e-lakhnau mein hina ban gai ghazal
dohe ruba'i nazm sabhi 'tarz' the magar
asnaf-e-sha’iri ki KHuda ban gai ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.