Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulfat ka jab kisi ne liya nam ro paDe

Sudarshan Faakir

ulfat ka jab kisi ne liya nam ro paDe

Sudarshan Faakir

ulfat jab kisī ne liyā naam ro paḌe

apnī vafā soch ke anjām ro paḌe

har shaam ye savāl mohabbat se kyā milā

har shaam ye javāb ki har shaam ro paḌe

rāh-e-vafā meñ ham ko ḳhushī talāsh thī

do gaam chale the ki har gaam ro paḌe

ronā nasīb meñ hai to auroñ se kyā gila

apne sar liyā koī ilzām ro paḌe

ulfat ka jab kisi ne liya nam ro paDe

apni wafa ka soch ke anjam ro paDe

har sham ye sawal mohabbat se kya mila

har sham ye jawab ki har sham ro paDe

rah-e-wafa mein hum ko KHushi ki talash thi

do gam hi chale the ki har gam ro paDe

rona nasib mein hai to auron se kya gila

apne hi sar liya koi ilzam ro paDe

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now