raat ghaaron se nikal kar shauq se ghar mein rahe
raat ġhāroñ se nikal kar shauq se ghar meñ rahe
chāñdnī saḌkoñ meñ tanhā dar-ba-dar maarī phire
jin daraḳhtoñ kī ghanerī chhāñv meñ milte the ham
barq ne un ko jalāyā baa'd meñ ole gire
dhuup sar par hī rahegī is safar meñ jā-ba-jā
kaun apne hausle ke paaoñ ko rusvā kare
jism kī sarhad se ik din tū nikal ke dekh le
kis qadar raushan hai duniyā is jahannam se pare
is na.ī rut ke anokhe haiñ sabhī rasm-o-rivāj
phuul kī chāhat meñ nikle sang se dāman bhare
raat ghaaron se nikal kar shauq se ghar mein rahe
chandni saDkon mein tanha dar-ba-dar mari phire
jin daraKHton ki ghaneri chhanw mein milte the hum
barq ne un ko jalaya ba'd mein ole gire
dhup sar par hi rahegi is safar mein ja-ba-ja
kaun apne hausle ke paon ko ruswa kare
jism ki sarhad se ek din tu nikal ke dekh le
kis qadar raushan hai duniya is jahannam se pare
is nai rut ke anokhe hain sabhi rasm-o-riwaj
phul ki chahat mein nikle sang se daman bhare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.