ghar ghar aapas mein dushmani bhi hai
ghar ghar aapas meñ dushmanī bhī hai
bas khachā-khach bharī huī bhī hai
ek lamhe ke vāste hī sahī
kaale bādal meñ raushnī bhī hai
niind ko log maut kahte haiñ
ḳhvāb kā naam zindagī bhī hai
rāsta kāTnā hunar terā
varna āvāz TūTtī bhī hai
ḳhūbiyoñ se hai paak merī zaat
mere aiboñ meñ shā.irī bhī hai
ghar ghar aapas mein dushmani bhi hai
bas khacha-khach bhari hui bhi hai
ek lamhe ke waste hi sahi
kale baadal mein raushni bhi hai
nind ko log maut kahte hain
KHwab ka nam zindagi bhi hai
rasta kaTna hunar tera
warna aawaz TuTti bhi hai
KHubiyon se hai pak meri zat
mere aibon mein shairi bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.