qadam qadam pe nae imtihan mein aaya
qadam qadam pe na.e imtihān meñ aayā
magar kahāñ maiñ musalsal thakān meñ aayā
zamīñ bhī āsmāñ us ko dikhā.ī dene lagī
parinda jab kabhī ūñchī uḌaan meñ aayā
na chhoḌ haath se 'azm-o-yaqīn kā tesha
shigāf dekh kahāñ tak chaTān meñ aayā
ġhamoñ kī dhuup meñ barsoñ jalā huuñ tab jā kar
maiñ gesuoñ ke hasīñ sā.ebān meñ aayā
gaye dinoñ kī talāfī vo chāhtā thā magar
nikal ke tiir na vāpas kamān meñ aayā
gayā hai jab se nikal kar vo ḳhāna-e-dil se
na koī dūsrā rahne makān meñ aayā
salām karte haiñ jhuk kar ye hādse mujh ko
maiñ jab se apne ḳhudā kī amaan meñ aayā
kuchh itne tez the jhoñke havā ke ai 'muztar'
ġhubār uḌtā huā martabān meñ aayā
qadam qadam pe nae imtihan mein aaya
magar kahan main musalsal thakan mein aaya
zamin bhi aasman us ko dikhai dene lagi
parinda jab kabhi unchi uDan mein aaya
na chhoD hath se 'azm-o-yaqin ka tesha
shigaf dekh kahan tak chaTan mein aaya
ghamon ki dhup mein barson jala hun tab ja kar
main gesuon ke hasin saeban mein aaya
gaye dinon ki talafi wo chahta tha magar
nikal ke tir na wapas kaman mein aaya
gaya hai jab se nikal kar wo KHana-e-dil se
na koi dusra rahne makan mein aaya
salam karte hain jhuk kar ye hadse mujh ko
main jab se apne KHuda ki aman mein aaya
kuchh itne tez the jhonke hawa ke ai 'muztar'
ghubar uDta hua martaban mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.