Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe KHwab-e-sarab-e-azab diye meri ruh ka naghma chhin liya

Ali Wijdan

mujhe KHwab-e-sarab-e-azab diye meri ruh ka naghma chhin liya

Ali Wijdan

mujhe ḳhvāb-e-sarāb-e-azāb diye mirī ruuh naġhma chhīn liyā

āshob-e-malāl ishrat-e-jāñ 'vijdān' se kyā kyā chhīn liyā

ik ranj-e-safar dhuul mire chehre pe gard-e-malāl huī

ik kaif jo sañgī sāthī thā us kaif saaya chhīn liyā

mire haath bhī zaḳhm-e-dil tarah maiñ TuuT gayā sāhil tarah

ai dard-e-ġham-e-hijrāñ ne kyā mujh ko diyā kyā chhīn liyā

in rañgoñ meñ mirā rañg bhī thā in bātoñ meñ mirī baat bhī thī

mirā rañg miTā mirī baat kaTī kis ne mirā rasta chhīn liyā

ai shahr-e-alam mirī baat to sun ḳhvāb mire vāpas kar de

maiñ terā karam lauTā dūñgā ne mirā chehra chhīn liyā

maiñ nauhagarī tak bhuul gayā mire log jale mire shahr luTe

is shahr-e-ma.īshat ne mujh se ehsās dariyā chhīn liyā

ye sūd-o-ziyāñ bāteñ haiñ in bātoñ meñ kyā rakkhā hai

ik ḳhvāb-e-tamannā de ke mujhe ik ḳhvāb-e-tamannā chhīn liyā

mujhe KHwab-e-sarab-e-azab diye meri ruh ka naghma chhin liya

aashob-e-malal ishrat-e-jaan 'wijdan' se kya kya chhin liya

ek ranj-e-safar ki dhul mere chehre pe gard-e-malal hui

ek kaif jo sangi sathi tha us kaif ka saya chhin liya

mere hath bhi zaKHm-e-dil ki tarah main TuT gaya sahil ki tarah

ai dard-e-gham-e-hijran tu ne kya mujh ko diya kya chhin liya

in rangon mein mera rang bhi tha in baaton mein meri baat bhi thi

mera rang miTa meri baat kaTi kis ne mera rasta chhin liya

ai shahr-e-alam meri baat to sun tu KHwab mere wapas kar de

main tera karam lauTa dunga tu ne mera chehra chhin liya

main nauhagari tak bhul gaya mere log jale mere shahr luTe

is shahr-e-maishat ne mujh se ehsas ka dariya chhin liya

ye sud-o-ziyan ki baaten hain in baaton mein kya rakkha hai

ek KHwab-e-tamanna de ke mujhe ek KHwab-e-tamanna chhin liya

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now