Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bichhaDne wale ka kyunkar na gham kiya jae

Kashif Husain Ghair

bichhaDne wale ka kyunkar na gham kiya jae

Kashif Husain Ghair

bichhaḌne vaale kyūñkar na ġham kiyā jaa.e

ye bojh aisā nahīñ hai ki kam kiyā jaa.e

ab intizār kareñ kyā kisī mūarriḳh

chalo ye vāqi.a ḳhud raqam kiyā jaa.e

maiñ ek baar nahīñ baar baar hañstā huuñ

kisī tarah to udāsī ko kam kiyā jaa.e

koī sabīl nahīñ pyaas ko bujhāne

sivā.e is ke ki āñkhoñ ko nam kiyā jaa.e

ye ḳhud se milne milāne ek sūrat hai

ki rābta zarā duniyā se kam kiyā jaa.e

vo aur hoñge jo insāf chāhte haiñ tirā

gunāhgār huuñ mujh par karam kiyā jaa.e

bichhaDne wale ka kyunkar na gham kiya jae

ye bojh aisa nahin hai ki kam kiya jae

ab intizar karen kya kisi muarriKH ka

chalo ye waqia KHud hi raqam kiya jae

main ek bar nahin bar bar hansta hun

kisi tarah to udasi ko kam kiya jae

koi sabil nahin pyas ko bujhane ki

siwae is ke ki aankhon ko nam kiya jae

ye KHud se milne milane ki ek surat hai

ki rabta zara duniya se kam kiya jae

wo aur honge jo insaf chahte hain tera

gunahgar hun mujh par karam kiya jae

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now