bas ek nigah mein qissa tamam hota hai
bas ik nigāh meñ qissa tamām hotā hai
to kyā ye vāqa'ī itnā sā kaam hotā hai
kisī ke sard ravayye pe ḳhāmushī kā lihāf
ye intiqām bhī kyā intiqām hotā hai
kabhī kabhī koī luqma kahīñ kahīñ koī kaam
halāl hote hue bhī harām hotā hai
vo baat aise hī suntā hai jaise kyā kahiye
ki jaise kuchh nahīñ karnā bhī kaam hotā hai
asiir asiir hī hotā hai qaid koī bhī ho
kisī bhī shakl meñ ho daam daam hotā hai
kabhī kabhī baḌī mushkil meñ Daal dete haiñ
vo jin kā dil meñ bahut ehtirām hotā hai
khaḌā huuñ kitne hī rishtoñ ko thaam kar 'javvād'
aur aise meñ jo mirā inhidām hotā hai
bas ek nigah mein qissa tamam hota hai
to kya ye waqa'i itna sa kaam hota hai
kisi ke sard rawayye pe KHamushi ka lihaf
ye intiqam bhi kya intiqam hota hai
kabhi kabhi koi luqma kahin kahin koi kaam
halal hote hue bhi haram hota hai
wo baat aise hi sunta hai jaise kya kahiye
ki jaise kuchh nahin karna bhi kaam hota hai
asir asir hi hota hai qaid koi bhi ho
kisi bhi shakl mein ho dam dam hota hai
kabhi kabhi baDi mushkil mein Dal dete hain
wo jin ka dil mein bahut ehtiram hota hai
khaDa hun kitne hi rishton ko tham kar 'jawwad'
aur aise mein jo mera inhidam hota hai
Kum Numa Urdu
Buy This BookAdditional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.