gham ke mujrim KHushi ke mujrim hain
ġham ke mujrim ḳhushī ke mujrim haiñ
log ab zindagī ke mujrim haiñ
aur koī gunāh yaad nahīñ
sajda-e-be-ḳhudī ke mujrim haiñ
istiġhāsa hai raah o manzil kā
rāhzan rahbarī ke mujrim haiñ
mai-kade meñ ye shor kaisā hai
bāda-kash bandagī ke mujrim haiñ
dushmanī aap kī ināyat hai
ham faqat dostī ke mujrim haiñ
ham faqīroñ kī sūratoñ pe na jā
ḳhidmat-e-ādmī ke mujrim haiñ
kuchh ġhazālān-e-āgahī 'sāġhar'
naġhma-o-shā.erī ke mujrim haiñ
gham ke mujrim KHushi ke mujrim hain
log ab zindagi ke mujrim hain
aur koi gunah yaad nahin
sajda-e-be-KHudi ke mujrim hain
istighasa hai rah o manzil ka
rahzan rahbari ke mujrim hain
mai-kade mein ye shor kaisa hai
baada-kash bandagi ke mujrim hain
dushmani aap ki inayat hai
hum faqat dosti ke mujrim hain
hum faqiron ki suraton pe na ja
KHidmat-e-admi ke mujrim hain
kuchh ghazalan-e-agahi 'saghar'
naghma-o-shaeri ke mujrim hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.