Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahin khane ka ghar mein ab koi saman le de kar

Rasheed Hasrat

nahin khane ka ghar mein ab koi saman le de kar

Rasheed Hasrat

MORE BYRasheed Hasrat

    nahīñ khāne kā ghar meñ ab koī sāmān le de kar

    uThānā paḌ gayā āḳhir tirā ehsān le de kar

    yahāñ har gaam par mushkil koī darpesh aa.ī hai

    faqat ik maut hī aa.ī nazar āsān le de kar

    kamāyā kuchh nahīñ achchhā 'amal is dār-e-fānī meñ

    faqat pahlū meñ rakkhā hai dil-e-vīrān le de kar

    maiñ jis ke vāste chīḳhūñgā chillā.ūñgā jalse meñ

    karegā kyā faqat ik jhuuT kā e'lān le de kar

    baḌā bebāk shā'ir hai giraftārī zarūrī hai

    kisī din aa hī jā.egā koī farmān le de kar

    tire bachchoñ ko bahlānā mire do vaqt kī roTī

    tirā ghar chhoḌ jā.ūñgā maiñ bhā.ī-jān le de kar

    kisī kī sard-mehrī ne hameñ behāl kar Daalā

    hameñ karnī paḌī hai zindagī qurbān le de kar

    añdheroñ kī hukūmat hai tanazzul kā zamāna hai

    hameñ ġhāroñ pe lā.eñge siyāsat-dān le de kar

    kahā bhaa.ī ne 'hasrat' aao ghar taqsīm karte haiñ

    mire hisse meñ aayā hai faqat dālān le de kar

    nahin khane ka ghar mein ab koi saman le de kar

    uThana paD gaya aaKHir tera ehsan le de kar

    yahan har gam par mushkil koi darpesh aai hai

    faqat ek maut hi aai nazar aasan le de kar

    kamaya kuchh nahin achchha 'amal is dar-e-fani mein

    faqat pahlu mein rakkha hai dil-e-viran le de kar

    main jis ke waste chiKHunga chillaunga jalse mein

    karega kya faqat ek jhuT ka e'lan le de kar

    baDa bebak sha'ir hai giraftari zaruri hai

    kisi din aa hi jaega koi farman le de kar

    tere bachchon ko bahlana mere do waqt ki roTi

    tera ghar chhoD jaunga main bhai-jaan le de kar

    kisi ki sard-mehri ne hamein behaal kar Dala

    hamein karni paDi hai zindagi qurban le de kar

    andheron ki hukumat hai tanazzul ka zamana hai

    hamein ghaaron pe laenge siyasat-dan le de kar

    kaha bhai ne 'hasrat' aao ghar taqsim karte hain

    mere hisse mein aaya hai faqat dalan le de kar

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now