shobda tha ya haqiqat zehn tariki mein tha
sho'bda thā yā haqīqat zehn tārīkī meñ thā
jal rahā hai aag meñ jangal dhuāñ paanī meñ thā
sabz Tahnī par jamā thā qatra-e-ḳhūn-e-gulāb
log ye samjhe ki sone kā asar miTTī meñ thā
jumbish-e-mauj-e-havā se chhiḌ gayā sāz-e-shamīm
varna har gul muztarib zindān-e-ḳhāmoshī meñ thā
khul ga.iiñ jab uñgliyāñ kitnī pashemānī huī
band ik phailā huā sahrā mirī muTThī meñ thā
bazm meñ aa kar bujhā merī tabī'at kā charāġh
maiñ ki sadiyoñ se farozāñ kunj-e-tanhā.ī meñ thā
chhū liyā jab maiñ ne vo paikar to mailā ho gayā
ab khulā ye raaz chāhat kā mazā duurī meñ thā
maiñ ne jab 'siddīq' dauḌā.ī zamānoñ par nazar
ik jahāñ simTā huā lamhe kī pahnā.ī meñ thā
sho'bda tha ya haqiqat zehn tariki mein tha
jal raha hai aag mein jangal dhuan pani mein tha
sabz Tahni par jama tha qatra-e-KHun-e-gulab
log ye samjhe ki sone ka asar miTTi mein tha
jumbish-e-mauj-e-hawa se chhiD gaya saz-e-shamim
warna har gul muztarib zindan-e-KHamoshi mein tha
khul gain jab ungliyan kitni pashemani hui
band ek phaila hua sahra meri muTThi mein tha
bazm mein aa kar bujha meri tabi'at ka charagh
main ki sadiyon se farozan kunj-e-tanhai mein tha
chhu liya jab main ne wo paikar to maila ho gaya
ab khula ye raaz chahat ka maza duri mein tha
main ne jab 'siddiq' dauDai zamanon par nazar
ek jahan simTa hua lamhe ki pahnai mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.