parsai dhari ki dhari rah gai bandagi bhi yunhi raegan ho gai
pārsā.ī dharī kī dharī rah ga.ī bandagī bhī yūñhī rā.egāñ ho ga.ī
dekh kar āḳhirash kaalī kaalī ghaTā shaiḳh jī kī tabī'at javāñ ho ga.ī
jo muqaddar meñ likkhā thā puurā huā kyā batā.ūñ shab-e-vasl kā mājrā
un kī zid merā isrār itnā baḌhā faisla ho na paayā azaañ ho ga.ī
tum to 'aḳhtar' bane phirte ho pārsā tum sharābī nahīñ ham ne maanā magar
ye batāo ki tum raat bhar the kahāñ der itnī huī to kahāñ ho ga.ī
parsai dhari ki dhari rah gai bandagi bhi yunhi raegan ho gai
dekh kar aaKHirash kali kali ghaTa shaiKH ji ki tabi'at jawan ho gai
jo muqaddar mein likkha tha pura hua kya bataun shab-e-wasl ka majra
un ki zid mera israr itna baDha faisla ho na paya azan ho gai
tum to 'aKHtar' bane phirte ho parsa tum sharabi nahin hum ne mana magar
ye batao ki tum raat bhar the kahan der itni hui to kahan ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.