talKHi-e-zist ho kitni bhi magar na-mumkin
talḳhī-e-zīst ho kitnī bhī magar nā-mumkin
rone lag jā.ūñ karūñ aañkh ko tar nā-mumkin
tū ne badlā hai jo rasta to ye tai hai jānāñ
muḌ ke dekhegī tujhe merī nazar nā-mumkin
apne hisse kī siyah-shab se shikāyat hai magar
maañg luuñ ġhair ke sūraj se sahar nā-mumkin
jo ki daulat ke liye bech de ġhairat apnī
sar uThā kar ke jiye aisā bashar nā-mumkin
rāh-e-manzil pe nikal aa.ī huuñ be-ḳhauf-o-ḳhatar
ab mujhe rok de ye gard-e-safar nā-mumkin
'monikā' mujh meñ chamakte haiñ mohabbat ke nujūm
mujh se nikle koī nafrat kā sharar nā-mumkin
talKHi-e-zist ho kitni bhi magar na-mumkin
rone lag jaun karun aankh ko tar na-mumkin
tu ne badla hai jo rasta to ye tai hai jaanan
muD ke dekhegi tujhe meri nazar na-mumkin
apne hisse ki siyah-shab se shikayat hai magar
mang lun ghair ke suraj se sahar na-mumkin
jo ki daulat ke liye bech de ghairat apni
sar uTha kar ke jiye aisa bashar na-mumkin
rah-e-manzil pe nikal aai hun be-KHauf-o-KHatar
ab mujhe rok de ye gard-e-safar na-mumkin
'monika' mujh mein chamakte hain mohabbat ke nujum
mujh se nikle koi nafrat ka sharar na-mumkin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.