ab kahan hum kisi se milte hain
ab kahāñ ham kisī se milte haiñ
apnī hī bebasī se milte haiñ
zaḳhm to jitne chāhe de denā
dard se ham ḳhushī se milte haiñ
tum jise maut jānte ho miyāñ
ham usī zindagī se milte haiñ
jis ne luuTā mirā qarār kabhī
aaj bhī ham usī se milte haiñ
sub.h hote hī kho sā jaatā hai
raat bhar ajnabī se milte haiñ
qāfiya hai na hai radīf magar
lafz kuchh shā'irī se milte haiñ
ab kahan hum kisi se milte hain
apni hi bebasi se milte hain
zaKHm to jitne chahe de dena
dard se hum KHushi se milte hain
tum jise maut jaante ho miyan
hum usi zindagi se milte hain
jis ne luTa mera qarar kabhi
aaj bhi hum usi se milte hain
subh hote hi kho sa jata hai
raat bhar ajnabi se milte hain
qafiya hai na hai radif magar
lafz kuchh sha'iri se milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.