do din to junun ke hain aao ki machal jaen
do din to junūñ ke haiñ aao ki machal jaa.eñ
phir tum ko ḳhabar kyā ham kis samt nikal jaa.eñ
aao ki bharam rakh leñ dīdār-e-bahārāñ kā
tum paat meñ chhup jaao ham shāḳh meñ Dhal jaa.eñ
achchhā hai yahī ai dil is kār-e-mohabbat meñ
kuchh aur ulajh jaa.eñ kuchh aur sañbhal jaa.eñ
do din to junun ke hain aao ki machal jaen
phir tum ko KHabar kya hum kis samt nikal jaen
aao ki bharam rakh len didar-e-bahaaran ka
tum pat mein chhup jao hum shaKH mein Dhal jaen
achchha hai yahi ai dil is kar-e-mohabbat mein
kuchh aur ulajh jaen kuchh aur sanbhal jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.