Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghar ki buniyaaden diwaren baam-o-dar the babu ji

Aalok Shrivastav

ghar ki buniyaaden diwaren baam-o-dar the babu ji

Aalok Shrivastav

MORE BYAalok Shrivastav

    ghar buniyādeñ dīvāreñ bām-o-dar the baabū

    sab ko bāñdh ke rakhne vaalā ḳhaas hunar the baabū

    tiin mohalloñ meñ un jaisī qad kāThī koī na thā

    achchhe-ḳhāse ūñche puure qad-āvar the baabū

    ab to us suune māthe par kore-pan chādar hai

    ammā saarī saj-dhaj sab zevar the baabū

    bhītar se ḳhālis jazbātī aur uupar se TheTh pitā

    alag anūThā anbūjhā ik tevar the baabū

    kabhī baḌā hāth-ḳharch the kabhī hathelī sūjan

    mere man aadhā sāhas aadhā Dar the baabū

    ghar ki buniyaaden diwaren baam-o-dar the babu ji

    sab ko bandh ke rakhne wala KHas hunar the babu ji

    tin mohallon mein un jaisi qad kaThi ka koi na tha

    achchhe-KHase unche pure qad-awar the babu ji

    ab to us sune mathe par kore-pan ki chadar hai

    amma ji ki sari saj-dhaj sab zewar the babu ji

    bhitar se KHalis jazbaati aur upar se TheTh pita

    alag anuTha anbujha sa ek tewar the babu ji

    kabhi baDa sa hath-KHarch the kabhi hatheli ki sujan

    mere man ka aadha sahas aadha Dar the babu ji

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now