Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai

Haider Qureshi

fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai

Haider Qureshi

MORE BYHaider Qureshi

    fasl-e-ġham jab nau-ḳhezī ho jaatī hai

    dard maujoñ meñ bhī tezī ho jaatī hai

    paanī meñ bhī chāñd sitāre ug aate haiñ

    aañkh se dil tak vo zarḳhezī ho jaatī hai

    andar ke jañgal se aa jaatī haiñ yādeñ

    aur fazā meñ sandal-bezī ho jaatī hai

    ḳhushiyāñ ġham meñ bilkul ghul-mil jaatī haiñ

    aur nashāt meñ ġham-añgezī ho jaatī hai

    shīrīñ se lahje meñ bhar jaatī hai talḳhī

    hīla-jūī jab parvezī ho jaatī hai

    be-had power jis ko bhī mil jaa.e us

    tarz yazīdī chañgezī ho jaatī hai

    ġhazloñ meñ vaise to sach kahtā huuñ lekin

    kuchh na kuchh to rañg-āmezī ho jaatī hai

    husn tumhārā to hai sach aur ḳhair sarāpā

    ham se bas shar-añgezī ho jaatī hai

    zāhir parda ha.Tne vaalī manzil par

    sālik se bhī bad-parhezī ho jaatī hai

    'rūmī' ko 'haidar' jab bhī paḌhne lagtā huuñ

    bātin duniyā tabrezī ho jaatī hai

    fasl-e-gham ki jab nau-KHezi ho jati hai

    dard ki maujon mein bhi tezi ho jati hai

    pani mein bhi chand sitare ug aate hain

    aankh se dil tak wo zarKHezi ho jati hai

    andar ke jangal se aa jati hain yaaden

    aur faza mein sandal-bezi ho jati hai

    KHushiyan gham mein bilkul ghul-mil si jati hain

    aur nashat mein gham-angezi ho jati hai

    shirin se lahje mein bhar jati hai talKHi

    hila-jui jab parwezi ho jati hai

    be-had power jis ko bhi mil jae us ki

    tarz yazidi ya changezi ho jati hai

    ghazlon mein waise to sach kahta hun lekin

    kuchh na kuchh to rang-amezi ho jati hai

    husn tumhaara to hai sach aur KHair sarapa

    hum se hi bas shar-angezi ho jati hai

    zahir ka parda haTne wali manzil par

    salik se bhi bad-parhezi ho jati hai

    'rumi' ko 'haidar' jab bhi paDhne lagta hun

    baatin ki duniya tabrezi ho jati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now