Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

Nasir Kazmi

safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

Nasir Kazmi

safar-e-manzil-e-shab yaad nahīñ

log ruḳhsat hue kab yaad nahīñ

avvalīñ qurb sarshārī meñ

kitne armāñ the jo ab yaad nahīñ

dil meñ har vaqt chubhan rahtī thī

thī mujhe kis talab yaad nahīñ

vo sitārā thī ki shabnam thī ki phuul

ek sūrat thī ajab yaad nahīñ

kaisī vīrāñ hai guzar-gāh-e-ḳhayāl

jab se vo aariz o lab yaad nahīñ

bhūlte jaate haiñ maazī ke dayār

yaad aa.eñ bhī to sab yaad nahīñ

aisā uljhā huuñ ġham-e-duniyā meñ

ek bhī ḳhvāb-e-tarab yaad nahīñ

rishta-e-jāñ thā kabhī jis ḳhayāl

us sūrat bhī to ab yaad nahīñ

ye haqīqat hai ki ahbāb ko ham

yaad kab the jo ab yaad nahīñ

yaad hai sair-e-charāġhāñ 'nāsir'

dil ke bujhne sabab yaad nahīñ

safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

log ruKHsat hue kab yaad nahin

awwalin qurb ki sarshaari mein

kitne arman the jo ab yaad nahin

dil mein har waqt chubhan rahti thi

thi mujhe kis ki talab yaad nahin

wo sitara thi ki shabnam thi ki phul

ek surat thi ajab yaad nahin

kaisi viran hai guzar-gah-e-KHayal

jab se wo aariz o lab yaad nahin

bhulte jate hain mazi ke dayar

yaad aaen bhi to sab yaad nahin

aisa uljha hun gham-e-duniya mein

ek bhi KHwab-e-tarab yaad nahin

rishta-e-jaan tha kabhi jis ka KHayal

us ki surat bhi to ab yaad nahin

ye haqiqat hai ki ahbab ko hum

yaad hi kab the jo ab yaad nahin

yaad hai sair-e-charaghan 'nasir'

dil ke bujhne ka sabab yaad nahin

RECITATIONS

Unknown

Unknown,

Unknown

safar-e-manzil-e-shab yaad nahin Unknown

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now