Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta

Abbas Tabish

faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta

Abbas Tabish

faqat māl-o-zar-e-dīvār-o-dar achchhā nahīñ lagtā

jahāñ bachche nahīñ hote vo ghar achchhā nahīñ lagtā

mire dukh tak mire ḳhuuñ aur pasīne kamā.ī haiñ

tumheñ kyuuñ merī mehnat samar achchhā nahīñ lagtā

shikasta satr chāhe rañg-o-bū-e-pairahan Thahre

kisī sūrat mujhe ijz-e-hunar achchhā nahīñ lagtā

mayassar ho na jab tak bū-e-tāza-tar hamrāhī

havā tarah galiyoñ se guzar achchhā nahīñ lagtā

rah-e-tesha-talab terī maiñ vo dīvār huuñ jis ko

na ho shorīdgī jis meñ vo sar achchhā nahīñ lagtā

galī meñ khelte bachchoñ ke hāthoñ maiñ patthar huuñ

mujhe is sahn ḳhālī shajar achchhā nahīñ lagtā

chamaktā huuñ har ik mahtāb-rū ke rū-e-raushan meñ

maiñ sūraj huuñ mujhe shab safar achchhā nahīñ lagtā

jise dekheñ vahī phir dekhne aarzū Thahre

jise chāheñ vahī bār-e-digar achchhā nahīñ lagtā

isī ḳhātir use 'tābish' uchaknā chāhtā huuñ maiñ

mujhe tālāb tah meñ qamar achchhā nahīñ lagtā

faqat mal-o-zar-e-diwar-o-dar achchha nahin lagta

jahan bachche nahin hote wo ghar achchha nahin lagta

mere dukh tak mere KHun aur pasine ki kamai hain

tumhein kyun meri mehnat ka samar achchha nahin lagta

shikasta satr chahe rang-o-bu-e-pairahan Thahre

kisi surat mujhe ijz-e-hunar achchha nahin lagta

mayassar ho na jab tak bu-e-taza-tar ki hamrahi

hawa ki tarah galiyon se guzar achchha nahin lagta

rah-e-tesha-talab teri main wo diwar hun jis ko

na ho shoridgi jis mein wo sar achchha nahin lagta

gali mein khelte bachchon ke hathon ka main patthar hun

mujhe is sahn ka KHali shajar achchha nahin lagta

chamakta hun har ek mahtab-ru ke ru-e-raushan mein

main suraj hun mujhe shab ka safar achchha nahin lagta

jise dekhen wahi phir dekhne ki aarzu Thahre

jise chahen wahi bar-e-digar achchha nahin lagta

isi KHatir use 'tabish' uchakna chahta hun main

mujhe talab ki tah mein qamar achchha nahin lagta

Source :
  • Book : Agar Main Sher Na Kahta (Pg. 41)
  • Author :Abbas Tabish
  • Publication : Rekhta Publications (2022)
  • Edition : 2nd
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now