zindagi se yahi gila hai mujhe
zindagī se yahī gila hai mujhe
tū bahut der se milā hai mujhe
tū mohabbat se koī chaal to chal
haar jaane kā hausla hai mujhe
dil dhaḌaktā nahīñ Tapaktā hai
kal jo ḳhvāhish thī aabla hai mujhe
ham-safar chāhiye hujūm nahīñ
ik musāfir bhī qāfila hai mujhe
kohkan ho ki qais ho ki 'farāz'
sab meñ ik shaḳhs hī milā hai mujhe
zindagi se yahi gila hai mujhe
tu bahut der se mila hai mujhe
tu mohabbat se koi chaal to chal
haar jaane ka hausla hai mujhe
dil dhaDakta nahin Tapakta hai
kal jo KHwahish thi aabla hai mujhe
ham-safar chahiye hujum nahin
ek musafir bhi qafila hai mujhe
kohkan ho ki qais ho ki 'faraaz'
sab mein ek shaKHs hi mila hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.