Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya

Ahmad Faraz

usne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya

Ahmad Faraz

us ne sukūt-e-shab meñ bhī apnā payām rakh diyā

hijr raat baam par māh-e-tamām rakh diyā

āmad-e-dost naved kū-e-vafā meñ aam thī

maiñ ne bhī ik charāġh dil sar-e-shām rakh diyā

shiddat-e-tishnagī meñ bhī ġhairat-e-mai-kashī rahī

us ne jo pher nazar maiñ ne bhī jaam rakh diyā

us ne nazar nazar meñ aise bhale suḳhan kahe

maiñ ne to us ke paañv meñ saarā kalām rakh diyā

dekho ye mere ḳhvāb the dekho ye mere zaḳhm haiñ

maiñ ne to sab hisāb-e-jāñ bar-sar-e-ām rakh diyā

ab ke bahār ne bhī kiiñ aisī sharārteñ ki bas

kabk-e-darī chaal meñ terā ḳhirām rakh diyā

jo bhī milā usī dil halqa-ba-gosh-e-yār thā

us ne to saare shahr ko kar ke ġhulām rakh diyā

aur 'farāz' chāhiyeñ kitnī mohabbateñ tujhe

maaoñ ne tere naam par bachchoñ naam rakh diyā

us ne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya

hijr ki raat baam par mah-e-tamam rakh diya

aamad-e-dost ki nawed ku-e-wafa mein aam thi

main ne bhi ek charagh sa dil sar-e-sham rakh diya

shiddat-e-tishnagi mein bhi ghairat-e-mai-kashi rahi

us ne jo pher li nazar main ne bhi jam rakh diya

us ne nazar nazar mein hi aise bhale suKHan kahe

main ne to us ke panw mein sara kalam rakh diya

dekho ye mere KHwab the dekho ye mere zaKHm hain

main ne to sab hisab-e-jaan bar-sar-e-am rakh diya

ab ke bahaar ne bhi kin aisi shararten ki bas

kabk-e-dari ki chaal mein tera KHiram rakh diya

jo bhi mila usi ka dil halqa-ba-gosh-e-yar tha

us ne to sare shahr ko kar ke ghulam rakh diya

aur 'faraaz' chahiyen kitni mohabbaten tujhe

maon ne tere nam par bachchon ka nam rakh diya

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz

Masood Rana

Masood Rana

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

usne sukut-e-shab mein bhi apna payam rakh diya Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now