Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is se pahle ki be-wafa ho jaen

Ahmad Faraz

is se pahle ki be-wafa ho jaen

Ahmad Faraz

is se pahle ki be-vafā ho jaa.eñ

kyuuñ na ai dost ham judā ho jaa.eñ

bhī hiire se ban gayā patthar

ham bhī kal jaane kyā se kyā ho jaa.eñ

ki yaktā thā be-shumār huā

ham bhī TūTeñ to jā-ba-jā ho jaa.eñ

ham bhī majbūriyoñ uzr kareñ

phir kahīñ aur mubtalā ho jaa.eñ

ham agar manzileñ na ban paa.e

manziloñ tak rāstā ho jaa.eñ

der se soch meñ haiñ parvāne

raakh ho jaa.eñ havā ho jaa.eñ

ishq bhī khel hai nasīboñ

ḳhaak ho jaa.eñ kīmiyā ho jaa.eñ

ab ke gar mile to ham tujh se

aise lipTeñ tirī qabā ho jaa.eñ

bandagī ham ne chhoḌ hai 'farāz'

kyā kareñ log jab ḳhudā ho jaa.eñ

is se pahle ki be-wafa ho jaen

kyun na ai dost hum juda ho jaen

tu bhi hire se ban gaya patthar

hum bhi kal jaane kya se kya ho jaen

tu ki yakta tha be-shumar hua

hum bhi TuTen to ja-ba-ja ho jaen

hum bhi majburiyon ka uzr karen

phir kahin aur mubtala ho jaen

hum agar manzilen na ban pae

manzilon tak ka rasta ho jaen

der se soch mein hain parwane

rakh ho jaen ya hawa ho jaen

ishq bhi khel hai nasibon ka

KHak ho jaen kimiya ho jaen

ab ke gar tu mile to hum tujh se

aise lipTen teri qaba ho jaen

bandagi hum ne chhoD di hai 'faraaz'

kya karen log jab KHuda ho jaen

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Bharti Vishvanathan

Bharti Vishvanathan

Unknown

Unknown

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

is se pahle ki be-wafa ho jaen Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now