din kuchh aise guzārtā hai koī
jaise ehsāñ utārtā hai koī
dil meñ kuchh yuuñ sambhāltā huuñ ġham
jaise zevar sambhāltā hai koī
aa.ina dekh kar tasallī huī
ham ko is ghar meñ jāntā hai koī
peḌ par pak gayā hai phal shāyad
phir se patthar uchhāltā hai koī
der se gūñjte haiñ sannāTe
jaise ham ko pukārtā hai koī
din kuchh aise guzarta hai koi
jaise ehsan utarta hai koi
dil mein kuchh yun sambhaalta hun gham
jaise zewar sambhaalta hai koi
aaina dekh kar tasalli hui
hum ko is ghar mein jaanta hai koi
peD par pak gaya hai phal shayad
phir se patthar uchhaalta hai koi
der se gunjte hain sannaTe
jaise hum ko pukarta hai koi
- Book : Chand Pukhraj Ka (Pg. 182)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa And Company (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.