dīvāna banānā hai to dīvāna banā de
varna kahīñ taqdīr tamāsha na banā de
ai dekhne vaalo mujhe hañs hañs ke na dekho
tum ko bhī mohabbat kahīñ mujh sā na banā de
maiñ DhūñDh rahā huuñ mirī vo sham.a kahāñ hai
jo bazm kī har chiiz ko parvāna banā de
āḳhir koī sūrat bhī to ho ḳhāna-e-dil kī
ka.aba nahīñ bantā hai to but-ḳhāna banā de
'bahzād' har ik gaam pe ik sajda-e-mastī
har zarre ko sañg-e-dar-e-jānāna banā de
diwana banana hai to diwana bana de
warna kahin taqdir tamasha na bana de
ai dekhne walo mujhe hans hans ke na dekho
tum ko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana de
main DhunDh raha hun meri wo shama kahan hai
jo bazm ki har chiz ko parwana bana de
aaKHir koi surat bhi to ho KHana-e-dil ki
kaba nahin banta hai to but-KHana bana de
'bahzad' har ek gam pe ek sajda-e-masti
har zarre ko sang-e-dar-e-jaanana bana de
Videos
This video is playing from YouTube
Mehdi Hasan
Begum Akhtar
Source :
- Book : Junoon (Pg. 38)
- Author : Naseem Muqri
-
Publication : Naseem Muqri
(1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.