aate aate mera nam sa rah gaya
aate aate mirā naam sā rah gayā
us ke hoñToñ pe kuchh kāñptā rah gayā
raat mujrim thī dāman bachā le ga.ī
din gavāhoñ kī saf meñ khaḌā rah gayā
vo mire sāmne hī gayā aur maiñ
rāste kī tarah dekhtā rah gayā
jhuuT vaale kahīñ se kahīñ baḌh ga.e
aur maiñ thā ki sach boltā rah gayā
āñdhiyoñ ke irāde to achchhe na the
ye diyā kaise jaltā huā rah gayā
us ko kāñdhoñ pe le jā rahe haiñ 'vasīm'
aur vo jiine kā haq māñgtā rah gayā
aate aate mera nam sa rah gaya
us ke honTon pe kuchh kanpta rah gaya
raat mujrim thi daman bacha le gai
din gawahon ki saf mein khaDa rah gaya
wo mere samne hi gaya aur main
raste ki tarah dekhta rah gaya
jhuT wale kahin se kahin baDh gae
aur main tha ki sach bolta rah gaya
aandhiyon ke irade to achchhe na the
ye diya kaise jalta hua rah gaya
us ko kandhon pe le ja rahe hain 'wasim'
aur wo jine ka haq mangta rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.