Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak par shor-e-be-hangam kyun hai

Shamim Akram Rahman

falak par shor-e-be-hangam kyun hai

Shamim Akram Rahman

MORE BYShamim Akram Rahman

    falak par shor-e-be-hangām kyuuñ hai

    dil-e-be-kaif par ilhām kyuuñ hai

    har ik jānib hai vahshat kā baserā

    yahāñ dahshat meñ merī shaam kyuuñ hai

    bahak jaatā hai jo pī kar hamesha

    usī kī dastaras meñ jaam kyuuñ hai

    kahīñ par jumbish-e-lab besh-qīmat

    kahīñ ḳhūn-e-jigar be-dām kyuuñ hai

    nisāb-e-dars meñ shāmil hai lekin

    vafā-dārī bahut gumnām kyuuñ hai

    mohabbat hai fareb-e-'ālam-e-rang

    magar ye dil fareb-e-dām kyuuñ hai

    jahālat be-zamīrī aur tamalluq

    dar-e-jānāñ pe ye sab 'aam kyuuñ hai

    ḳhudā-e-vāhid-o-qahhār-o-bar-haq

    yahāñ iz.hār-e-haq dushnām kyuuñ hai

    farishto jaao ab pūchho ḳhudā se

    zamīñ par aaj qatl-e-'ām kyuuñ hai

    yahāñ neze pe kyoñ hai ibn-e-haidar

    yazīdoñ kā bhalā ikrām kyuuñ hai

    shikāyat hai lab-e-mai-kash pe 'akram'

    yahāñ pī kar koī nākām kyuuñ hai

    falak par shor-e-be-hangam kyun hai

    dil-e-be-kaif par ilham kyun hai

    har ek jaanib hai wahshat ka basera

    yahan dahshat mein meri sham kyun hai

    bahak jata hai jo pi kar hamesha

    usi ki dastaras mein jam kyun hai

    kahin par jumbish-e-lab besh-qimat

    kahin KHun-e-jigar be-dam kyun hai

    nisab-e-dars mein shamil hai lekin

    wafa-dari bahut gumnam kyun hai

    mohabbat hai fareb-e-'alam-e-rang

    magar ye dil fareb-e-dam kyun hai

    jahaalat be-zamiri aur tamalluq

    dar-e-jaanan pe ye sab 'am kyun hai

    KHuda-e-wahid-o-qahhaar-o-bar-haq

    yahan izhaar-e-haq dushnam kyun hai

    farishto jao ab puchho KHuda se

    zamin par aaj qatl-e-'am kyun hai

    yahan neze pe kyon hai ibn-e-haidar

    yazidon ka bhala ikram kyun hai

    shikayat hai lab-e-mai-kash pe 'akram'

    yahan pi kar koi nakaam kyun hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now