gale mein ruk gai aawaz koi
gale meñ ruk ga.ī āvāz koī
hañsī jaisī hī thī āvāz koī
basā thā zehn meñ manzar tumhārā
magar kānoñ meñ thī āvāz koī
bahut Takrā.īñ dīvāroñ se lekin
nahīñ lauTī mirī āvāz koī
maiñ bhaag aayā huuñ bach kar shor se ab
nahīñ sunñī na.ī āvāz koī
jahāñ chīḳheñ nikalnī chāhiyeñ vaañ
nikaltī hai dabī āvāz koī
ye duniyā hai parāyoñ kā 'ilāqa
nahīñ miltī sagī āvāz koī
yahāñ har or kitnā shor hai yaar
hai yaañ har aadmī āvāz koī
nahīñ sunñā hai ab koī nazārā
nahīñ ab dekhnī āvāz koī
gale mein ruk gai aawaz koi
hansi jaisi hi thi aawaz koi
basa tha zehn mein manzar tumhaara
magar kanon mein thi aawaz koi
bahut Takrain diwaron se lekin
nahin lauTi meri aawaz koi
main bhag aaya hun bach kar shor se ab
nahin sunni nai aawaz koi
jahan chiKHen nikalni chahiyen wan
nikalti hai dabi aawaz koi
ye duniya hai parayon ka 'ilaqa
nahin milti sagi aawaz koi
yahan har or kitna shor hai yar
hai yan har aadmi aawaz koi
nahin sunna hai ab koi nazara
nahin ab dekhni aawaz koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.