bhare jahan mein koi mera yar tha hi nahin
bhare jahāñ meñ koī merā yaar thā hī nahīñ
kisī nazar ko mirā intizār thā hī nahīñ
na DhūñDiye mirī āñkhoñ meñ ratjagoñ kī thakan
ye dil kisī ke liye be-qarār thā hī nahīñ
sunā rahā huuñ mohabbat kī dāstāñ us ko
mirī vafā pe jise e'tibār thā hī nahīñ
'qatīl' kaise havāoñ se māñgte ḳhushbū
hamārī shaam meñ zikr-e-bahār thā hī nahīñ
bhare jahan mein koi mera yar tha hi nahin
kisi nazar ko mera intizar tha hi nahin
na DhunDiye meri aankhon mein ratjagon ki thakan
ye dil kisi ke liye be-qarar tha hi nahin
suna raha hun mohabbat ki dastan us ko
meri wafa pe jise e'tibar tha hi nahin
'qatil' kaise hawaon se mangte KHushbu
hamari sham mein zikr-e-bahaar tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.