uski jaanib yun moD di aankhen
us kī jānib yuuñ moḌ dī āñkheñ
us ke chehre pe chhoḌ dī āñkheñ
phir tire ḳhvāb dekhne ke liye
ham ne bistar pe chhoḌ dī āñkheñ
vo jo aa.e to jaag jaatī haiñ
us kī aahaT se joḌ dī āñkheñ
ab ke bilkul bhulā diyā us ko
ab ke bilkul nichoḌ dī āñkheñ
us ki jaanib yun moD di aankhen
us ke chehre pe chhoD di aankhen
phir tere KHwab dekhne ke liye
hum ne bistar pe chhoD di aankhen
wo jo aae to jag jati hain
us ki aahaT se joD di aankhen
ab ke bilkul bhula diya us ko
ab ke bilkul nichoD di aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.