Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho

Irfan Siddiqi

ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho

Irfan Siddiqi

ek tarīqa ye bhī hai jab jiinā ik nā-chārī ho

haath bañdhe hoñ siine par dil bai.at se inkārī ho

jashn-e-zafar ek aur safar saa.at dībācha hai

ḳhema-e-shab meñ raqs bhī ho aur kuuch bhī tayyārī ho

is se kam par ram-ḳhurdūñ kaun ta.āqub kartā hai

bānu-e-kū-e-avadh ho āhū-e-tatārī ho

daa.im hai sultānī ham shahzādoñ ḳhāk-nihādoñ

barq-o-sharar masnad ho taḳht-e-bād-e-bahārī ho

ham to raat matlab samjheñ ḳhvāb, sitāre, chāñd, charāġh

aage ahvāl vo jaane jis ne raat guzārī ho

ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho

hath bandhe hon sine par dil baiat se inkari ho

jashn-e-zafar ek aur safar ki saat ka dibacha hai

KHema-e-shab mein raqs bhi ho aur kuch ki bhi tayyari ho

is se kam par ram-KHurdun ka kaun taaqub karta hai

ya banu-e-ku-e-awadh ho ya aahu-e-tatari ho

daim hai sultani hum shahzadon KHak-nihadon ki

barq-o-sharar ki masnad ho ya taKHt-e-baad-e-bahaari ho

hum to raat ka matlab samjhen KHwab, sitare, chand, charagh

aage ka ahwal wo jaane jis ne raat guzari ho

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now