Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki

Zehra Nigaah

ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki

Zehra Nigaah

ek ke ghar ḳhidmat aur ek ke dil se mohabbat

donoñ farz nibhā kar us ne saarī umr ibādat

dast-e-talab kuchh aur baḌhāte haf-iqlīm bhī mil jaate

ham ne to kuchh TūTe-phūTe jumloñ pe qanā.at

shohrat ke gahre dariyā meñ Duube to phir ubhre nahīñ

jin logoñ ko apnā samjhā jin logoñ se mohabbat

ek dorāhā aisā aayā donoñ TuuT ke gir jaate

bachchoñ ke hāthoñ ne sambhālā būḌhoñ ne hifāzat

jāma-e-ulfat bunte aa.e rishtoñ ke dhāgoñ se ham

umr qaiñchī kaaT ga.ī ab kaahe ko itnī mehnat

ek ke ghar ki KHidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki

donon farz nibha kar us ne sari umr ibaadat ki

dast-e-talab kuchh aur baDhate haf-iqlim bhi mil jate

hum ne to kuchh TuTe-phuTe jumlon hi pe qanaat ki

shohrat ke gahre dariya mein Dube to phir ubhre nahin

jin logon ko apna samjha jin logon se mohabbat ki

ek doraha aisa aaya donon TuT ke gir jate

bachchon ke hathon ne sambhaala buDhon hi ne hifazat ki

jama-e-ulfat bunte aae rishton ke dhagon se hum

umr ki qainchi kaT gai ab kahe ko itni mehnat ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now