Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek faqir chala jata hai pakki saDak par ganw ki

Jamal Ehsani

ek faqir chala jata hai pakki saDak par ganw ki

Jamal Ehsani

ek faqīr chalā jaatā hai pakkī saḌak par gaañv

aage raah sannāTā hai pīchhe guuñj khaḌā.ūñ

āñkhoñ āñkhoñ hariyālī ke ḳhvāb dikhā.ī dene lage

ham aise ka.ī jāgne vaale niiñd hue sahrāoñ

apne 'aks ko chhūne ḳhvāhish meñ parinda Duub gayā

phir kabhī lauT kar aa.ī nahīñ dariyā par ghaḌī du'āoñ

Daar se bichhḌā huā kabūtar shāḳh se TuuTā huā gulāb

aadhā dhuup sarmāya hai aadhī daulat chhāñv

us raste par pīchhe se itnī āvāzeñ aa.iiñ 'jamāl'

ek jagah to ghuum ke rah ga.ī eḌī sīdhe paañv

ek faqir chala jata hai pakki saDak par ganw ki

aage rah ka sannaTa hai pichhe gunj khaDaun ki

aankhon aankhon hariyali ke KHwab dikhai dene lage

hum aise kai jagne wale nind hue sahraon ki

apne 'aks ko chhune ki KHwahish mein parinda Dub gaya

phir kabhi lauT kar aai nahin dariya par ghaDi du'aon ki

Dar se bichhDa hua kabutar shaKH se TuTa hua gulab

aadha dhup ka sarmaya hai aadhi daulat chhanw ki

us raste par pichhe se itni aawazen aain 'jamal'

ek jagah to ghum ke rah gai eDi sidhe panw ki

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Jamal Ehsani

Jamal Ehsani

Source :
  • Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 24)
  • Author :Jamal Ehsani
  • Publication : Rekhta Publications (2018)
  • Edition : First

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now