ek din ghar se nikal ai bambai
ek din ghar se nikal ai bamba.ī
aa hamāre gaañv chal ai bamba.ī
sard haiñ din sard haiñ lafzoñ ke haath
tū bhī mere saath jal ai bamba.ī
terī chaukhaT par hai sāgar soch mat
ġhusl kar kapḌe badal ai bamba.ī
ban ke koī phuul yā jaaḌe kī dhuup
dil ke āñgan meñ nikal ai bamba.ī
jaag aur dāmān-e-vahshat chaak kar
sirf āñkheñ hī na mal ai bamba.ī
baiThe baiThe so gayā hogā badan
kasmasā pahlū badal ai bamba.ī
ek din ghar se nikal ai bambai
aa hamare ganw chal ai bambai
sard hain din sard hain lafzon ke hath
tu bhi mere sath jal ai bambai
teri chaukhaT par hai sagar soch mat
ghusl kar kapDe badal ai bambai
ban ke koi phul ya jaDe ki dhup
dil ke aangan mein nikal ai bambai
jag aur daman-e-wahshat chaak kar
sirf aankhen hi na mal ai bambai
baiThe baiThe so gaya hoga badan
kasmasa pahlu badal ai bambai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.