Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya tamam luT rahi hai bahaar-e-id

Saib Asmi

duniya tamam luT rahi hai bahaar-e-id

Saib Asmi

duniyā tamām luuT rahī hai bahār-e-īd

lekin hameñ to aaj bhī hai intizār-e-eid

har zarra ashk-bār hai maazī yaad meñ

hai iid bhī bajā-e-ḳhud ik yādgār-e-īd

ham āsmāñ pe chāñd nazzāra kyā kareñ

abrū ko un ke dekheñ to ho e'tibār-e-īd

ab ke siyāh-ḳhāne meñ baiThe guzār

allāh ham ko yaad rahegī bahār-e-īd

hai ghar ek gosha maiñ huuñ yād-e-yār hai

har dāġh-e-dil banā hai charāġh-e-mazār-e-īd

'sā.ib' gale haar huī ab ke muflisī

kuchh kam nahīñ ḳhizān-e-alam se bahār-e-īd

duniya tamam luT rahi hai bahaar-e-id

lekin hamein to aaj bhi hai intizar-e-eid

har zarra ashk-bar hai mazi ki yaad mein

hai id bhi baja-e-KHud ek yaadgar-e-id

hum aasman pe chand ka nazzara kya karen

abru ko un ke dekhen to ho e'tibar-e-id

ab ke siyah-KHane mein baiThe guzar di

allah hum ko yaad rahegi bahaar-e-id

hai ghar ka ek gosha main hun yaad-e-yar hai

har dagh-e-dil bana hai charagh-e-mazar-e-id

'saib' gale ka haar hui ab ke muflisi

kuchh kam nahin KHizan-e-alam se bahaar-e-id

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now