Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya mein suragh-e-rah-e-duniya nahin milta

Ahmad Mushtaq

duniya mein suragh-e-rah-e-duniya nahin milta

Ahmad Mushtaq

duniyā meñ surāġh-e-rah-e-duniyā nahīñ miltā

dariyā meñ utar jaa.eñ to dariyā nahīñ miltā

baaqī to mukammal hai tamannā imārat

ik guzre hue vaqt shīsha nahīñ miltā

jaate hue har chiiz yahīñ chhoḌ gayā thā

lauTā huuñ to ik dhuup TukḌā nahīñ miltā

jo dil meñ samā.e the vo ab shāmil-e-dil haiñ

is aa.ine meñ aks kisī nahīñ miltā

ne to chāhā thā ki miltā rahūñ tujh se

terī yahī marzī hai to achchhā nahīñ miltā

dil meñ to dhaḌakne sadā bhī nahīñ 'mushtāq'

raste meñ hai vo bhiiḌ ki rasta nahīñ miltā

duniya mein suragh-e-rah-e-duniya nahin milta

dariya mein utar jaen to dariya nahin milta

baqi to mukammal hai tamanna ki imarat

ek guzre hue waqt ka shisha nahin milta

jate hue har chiz yahin chhoD gaya tha

lauTa hun to ek dhup ka TukDa nahin milta

jo dil mein samae the wo ab shamil-e-dil hain

is aaine mein aks kisi ka nahin milta

tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se

teri yahi marzi hai to achchha nahin milta

dil mein to dhaDakne ki sada bhi nahin 'mushtaq'

raste mein hai wo bhiD ki rasta nahin milta

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

duniya mein suragh-e-rah-e-duniya nahin milta Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now