Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere KHuda tu mujhe KHud se aashna kar de

Kash Kannauji

mere KHuda tu mujhe KHud se aashna kar de

Kash Kannauji

mire ḳhudā mujhe ḳhud se āshnā kar de

maiñ terī shab se bhaTkūñ mujhe fanā kar de

tamām umr vo mere visāl ko tarse

us ke dil ko judā.ī se āshnā kar de

vo ham ko duur se dekhe taḌap ke rah jaa.e

hamāre beach meñ itnā fāsla kar de

maiñ us ke ba.ad se tanhā huuñ ek muddat se

kisī ko bhej de duniyā meñ aasrā kar de

maiñ terī shab se ġhāfil na hone pā.ūñ kabhī

apnī zaat meñ kuchh itnā mubtalā kar de

bas ek āḳhirī ḳhvāhish hai tere 'kāshif'

apne paas bulā le use rihā kar de

mere KHuda tu mujhe KHud se aashna kar de

main teri shab se bhaTkun mujhe fana kar de

tamam umr wo mere visal ko tarse

tu us ke dil ko judai se aashna kar de

wo hum ko dur se dekhe taDap ke rah jae

hamare beach mein tu itna fasla kar de

main us ke baad se tanha hun ek muddat se

kisi ko bhej de duniya mein aasra kar de

main teri shab se ghafil na hone paun kabhi

tu apni zat mein kuchh itna mubtala kar de

bas ek aaKHiri KHwahish hai tere 'kashif' ki

tu apne pas bula le use riha kar de

Tagged Under

Dua
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now