kaam aai nahin dawa mujhko
kaam aa.ī nahīñ davā mujh ko
aap dete raho du'ā mujh ko
us ne kamzoriyoñ pe hañs hañs kar
kitnā mazbūt kar diyā mujh ko
chāragar ne uThā diye haiñ haath
tū hī de ab koī davā mujh ko
har taraf raushnī karūñgā maiñ
chāñd kahtī hai vālida mujh ko
mere sab raaz jaan kar us ne
kitnā majbūr kar diyā mujh ko
kaam aai nahin dawa mujh ko
aap dete raho du'a mujh ko
us ne kamzoriyon pe hans hans kar
kitna mazbut kar diya mujh ko
chaaragar ne uTha diye hain hath
tu hi de ab koi dawa mujh ko
har taraf raushni karunga main
chand kahti hai walida mujh ko
mere sab raaz jaan kar us ne
kitna majbur kar diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.