Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham diye hain to masarrat ke guhar bhi dena

Shams Ramzi

gham diye hain to masarrat ke guhar bhi dena

Shams Ramzi

MORE BYShams Ramzi

    ġham diye haiñ to masarrat ke guhar bhī denā

    ai ḳhudā mujhe jiine hunar bhī denā

    hākim-e-vaqt ye hijrat mujhe manzūr magar

    dam-e-ruḳhsat mujhe sāmān-e-safar bhī denā

    ai shab-o-roz ke mālik mujhe is duniyā meñ

    lailatul-qadr mānind sahar bhī denā

    sun zarā ġhaur se sun ai shajar-e-sāya-fagan

    jab tire saa.e meñ pahuñchūñ to samar bhī denā

    lafz nikleñ jo zabāñ se to diloñ tak pahuñcheñ

    merī taqrīr meñ kuchh aisā asar bhī denā

    tere altāf-o-karam hai bahar-sū shohrat

    māl-o-zar degā to la.al-o-gohar bhī denā

    jo shamshīr-ba-kaf ho to maiñ sar pesh karūñ

    jo haiñ dil vaale unheñ aatā hai sar bhī denā

    baḳhshne vaale zamāne ko jamāl-e-har-rañg

    jo tujhe dekh sake aisī nazar bhī denā

    le chalā maiñ tirī jannat se bayābāñ taraf

    sar chhupāne ko vahāñ mujhe ghar bhī denā

    harf aa jaa.e na tujh par kahīñ kam-zarfī

    dāman-e-'shams' ko dīda-e-tar bhī denā

    gham diye hain to masarrat ke guhar bhi dena

    ai KHuda tu mujhe jine ka hunar bhi dena

    hakim-e-waqt ye hijrat mujhe manzur magar

    dam-e-ruKHsat mujhe saman-e-safar bhi dena

    ai shab-o-roz ke malik mujhe is duniya mein

    lailatul-qadr ki manind sahar bhi dena

    sun zara ghaur se sun ai shajar-e-saya-fagan

    jab tere sae mein pahunchun to samar bhi dena

    lafz niklen jo zaban se to dilon tak pahunchen

    meri taqrir mein kuchh aisa asar bhi dena

    tere altaf-o-karam ki hai bahar-su shohrat

    mal-o-zar dega hi to lal-o-gohar bhi dena

    tu jo shamshir-ba-kaf ho to main sar pesh karun

    jo hain dil wale unhen aata hai sar bhi dena

    baKHshne wale zamane ko jamal-e-har-rang

    jo tujhe dekh sake aisi nazar bhi dena

    le chala main teri jannat se bayaban ki taraf

    sar chhupane ko wahan tu mujhe ghar bhi dena

    harf aa jae na tujh par kahin kam-zarfi ka

    daman-e-'shams' ko tu dida-e-tar bhi dena

    Source :
    • Book : Gubar-e-shams (Pg. 86)
    • Author : Shams Ramzi
    • Publication : Urdu Tahzeeb, Delhi (1997)
    • Edition : 1997

    Tagged Under

    Dua
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now